donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Rahmat Ali
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Mai apnii bulandi ko bhii khokar nahii girta *
Mai apnii bulandi ko bhii khokar nahii girta
toota hua tara hoo'n zamee'n per nahii girta

her shaakh se jarh phoot ke girtii hai zamee'n mei'n
bargad hoo'n mai'n aandhii mei'n ukhar kar nahii girta

woh perh samardaar kahii ghar mei'n nahii hai
aangan mei'n mere ab koii paththar nahii girta

is mahfile yaara'n se agar jaate ho to jaao
ek ei'nt khisakne se kabhii ghar nahii girta

lagta hai kisi teer se majrooh hua hai
warna teri chhat pe woh kabootar nahii girta

was'at hii kaha'n hai ke samajaye kisi tarah
is waste nadiyo'n mei'n samndar nahii girta

har roz bachata hoo'n mai khud ko yaha'n 'Rahmat'
kaise kahoo'n sar per koii patther nahii girta


 
Comments


Login

You are Visitor Number : 389