* Merey khawbo'n mein aana chahta hai *
Merey khawbo'n mein aana chahta hai
wo palko'n ko sajana chahta hai
hazaro'n gham hmarey kah rahe hain
suno!wo muskurana chahta hai
muje ansu ka tohfa ho mubarak
wo ashko'n ka khazana chahta hai
zara sey jhoot sey dil hai salamat
magar wo azmana chahta hai
bhala wo yaad mujhko kyun krega
bhulaney ka bahana chahta hai
tumhara naam hai bdnam rakhshan
usey sara zamana chahta hai
************* |