* Rang rukhsar ka gulaabi hai *
Rang rukhsar ka gulaabi hai
ye mohabbat ki kamyaabi hai
chand zalim nazar nahi ataa
muntazir kab sey mahtabi hai
aj phir yaad aa gya koi
aj mausam bhi kuch sharabi hai
bewafa hai magar na janey kyun?
Us sey milney ki phir shitabi hai
chain milta nahi kahi'n mujko
kuch tabiyat hi izterabi hai
bhool jati hun main sabaq terey
zindagi mujh mei'n ye kharabi hai
koi parhta nahi mujhey rakhshan
khaak chehra mera kitabi hai
****** |