donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Rasool Saqi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* masnawi........ SHAAHKAAR........(qist soyem) *
masnawi........ SHAAHKAAR........(qist soyem)
.................by RASOOL SAQI


Musawwir ki nazar pagdandion par door ja thahri
Nazar ke raastay wadi-e-dil mein roshni phaili

Woh rashk-e-aftaab-o- ghairat-e-gul jalwa saman tha
Ke jis kay pairahan se qasr-e-gul shola badaman tha

Khadi thi woh khameedah shakh ik pakde huye aise 
ke baar-e-husn se shakh-e-gul -o- lala jhuke jaise 

Rukh-e-taaban pa toofan-e-shabab uske machalta tha
Chiragh -e- lala -o- gul jiski taabani se jalta tha

Woh rukhsaar-e-shafaq zeba damak jiski sharaar asaa
Woh chashm-e-neem wa aisi bahek jiski khumar asaa

Woh dariya-e-tabussum ka tilism afza haseen sahil
Ke jis par doobna chaahen safeeraan-e-safeen-e-dil

labon ke darmiyan yun gohar-e-dandan chamakte tha 
Ke jaise chashm-e-gul mein timtimate shabnami taare 

Jab uski zulf ki kafir latein rukh par bikharti theen
To usko dekh kar kali ghatayen aahein bharti theen

Helali tha kaman abroo to khar-e-mizgaan nawuk tha
sarapa jiska shayer ke khayalon se bhi naazuk tha

Qalam kari pa qudrat ki musawir mahv-e-hairat tha
Nazar ke samney jalwa numa shahkaar-e-fitrath tha

....................................(continue ....qist chaharum) — 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 387