* masnawi....SHAHKAR......qist doyem *
masnawi....SHAHKAR......qist doyem
...........................by RASOOL SAQI
.............................
Pas e deewar e shab tanha masawwir eik baitha tha
koee sani na tha jiska jo apne fan mein yakta tha
ke jiska naqshe awwal doosron ka naqsh e aakhir tha
bahut khud se pasheman tha bahut shoreedah khatir tha
mata e fan jigar kawi ka jisko mahasal kahta
nathi aisi koee tasweer jisko aaidial kahta
khayal e justujoo ye khoob tar mein sar badaman tha
inheen fikre talatum khez mein ghaltaan o pechan tha
yakayak yun sadaye khwab geen aayee sama-at mein
uroose naaz mahjoob e takallum jaise khalwat mein
masawwir ! ai masawwir !! is qadar maghmoom aakhir kyun
ye aah e sard bekhwabi dam e masmoom aakhir kyun
main dawa to naheen karti teriuqdah kushayee ka
magar ai kash batla do sabab apni udasi ka
agar fankar ka takhleeq mein jalwa haqeeqat hai
main tera aks hun mujh mein teri rooh e tareeqat hai
masawwir ne suye aawaz dekha hairan nazron se
nazar khairah huee noor e gul e taban ke jalwon se
ajab tha wadiye kuhsaar ka rashk e jinan manzar
the koh o abshar o taayer o gul saare afsoon gar
jahan chattan ki aaghosh se chashma ubalta tha
woheen do chotiyon ke darmiyan suraj nikalta tha
safedi barf ki kuhsaar pe is tarha jamti thi
ke choti gundhne kirnein ufuq se tooti padti theen
bayan kya kije aawarah kharami aab sharon ki
thin ta-zeeman jhukeen donon taraf shakhein chunaron ki
kabhi nairangiyan dekhi na thi aisi baharon mein
they ranga rang gulhaye haseen raqsan qataron mein
bayan kya ho gulon ke aatsheen rukhsar ka aalam
raqam kya kijiye aatish kadah gulzar ka aalam
saba ke paaon madhoshi ke aalam mein bahakte they
parind ath kheliyan karte huye har su chahakte the........(continue qist soyem)
|