donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Rasool Saqi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* masnawi SHAHKARR qist awwal. *
masnawi SHAHKARR qist awwal.
.................by RASOOL SAQI
....................
ye duniyan takhtah e naqsh o nigaare fikre yazdan hai
ke jisko dekh kar angusht e aadam zere dandan hai

wo bu- qalmuniye tasweer jis se aql hairan hai
ke jis se kakul e do-sheezah e geeti pareshan hai

magar fankar jo har lamha is mein rang bharta hai
to taskeen e dil e muztar ki khatir aisa karta hai

use hai justuju e shahkaar e naqsh e laasani
jahan fankar fan ban jaye aur ho jaye lafani

musawwir ho ya museeqar o shayer sab pe zahir hai
ibas takhleeq jo dil par shahenshahi se qasir hai

wo shahkaar e zaman hoga wo hoga rashk e lalah zaa
jise khoon e dil e muztar se seenche ga koee fankaar

ye aise hi kisi fankaar ki roodad hai .. ..........saq
jahaan e fikro fan jis ke sabab abaad hai.........saqi.......(contin
ue qist doyem)
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 383