donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Rasool Saqi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* RASTE MEIN KYUN SHUMAR KAREN KHISHT O KHAR HAM *
eik GHAZAL
********

RASTE MEIN KYUN SHUMAR KAREN KHISHT O KHAR HAM
MANZIL PA JA NIKALENGE SARA GHUBAR HAM

WO SHAKHS BHI HAREEF KE KHEME SE JA LAGA
APNON MEIN KARTE AAYE HAIN JISKA SHUMAR HAM

AANKHON MEIN KHWAB TO THE MAGAR DHUNDLE SE THE
KHOON E JIGAR SE LAYE HAIN UNPAR NIKHAR HAM

USNE TO WADA KARKE FARAMOSH KAR DIYA
APNI NAZAR MEIN AAP HUYE SHARMSAR HAM

IS DIL MEIN KAYENAT KI HAR SHAI SAMA GAYEE
YE AUR BAT HAI KE HUYE TAR TAR HAM

HAR HAR QADAM PE EIK NAYA TAJRUBA HUA
DUSHMAN PE JAB SE KARNE LAGE EITABAR HAM

TUM TO YAHAN TAK AANE MEIN ITNE NIDHAL HO
SADIYON SE KARTE AAYE HAIN JO INTAZAR HAM


JIS KU E DILFAREB MEIN TUM DAR BA DAR HUYE
US SHAHR E NAMURAD SE GUZRE HAIN YAR HAM

QATIL KOEE HO QATL TO HONA HAMEEN KO HAI
MAHFIL KOEE HO JALTE HAIN PARWANAH WAR HAM

MAJNOON KI ROOH APNE TA-AAQUB MEIN HAI HANUZ
SEHRA MEIN DEKHTE HAIN JO NAQA SAWAR HAM
******
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 328