donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Rasool Saqi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* ek nazm:::: RISHTA ::: by RASOOL SAQI *
ek nazm:::: RISHTA ::: by RASOOL SAQI

**********************************
Ishq allah hai manawwar mah o khursheed hai ishq / Soofi santon ki tapasseyaon ki tamheed hai ishq / Bang e murghan e sehar uqdah e tauheed hai ishq / Ishq meraaj e nabi kalma e tauheed hai ishq / Ishq sab kuchh hai magar ishq faqat ishq naheen / Tujh se kuchh is ke elawah bhi hai rishta mera.
.....................
Husn jo mehre jahan taab main anjum main hai / Chandni raat main jharnon ke tarannum main hai / Reg e sahil main jo mojon ke takallum main hai / Gul ki khushboo main jo ghunchon ke tabassum main hai / Mujh se mansoob hai lekin abhi ai parda nasheen / Tujh se kuchh is ke elawah bhi hai rishta mera.
..................... Heer o ranjha ki qasam majnoon o laila ki qasam/ Sohni mahinwal ki aur wamiq o azra ki qasam / Joo e sheerin ki qasam wusaate sehra ki qasam / Taj e maakus e lab e sahile jamna ki qasam / Fahm o idrak ki sarhad se bahut door kaheen / Tujh se kuchh is ke elawa bhi hai rishta.
...................... Meri chahat meri ulfat ko koee naam na de / Meri hairani o wahshat ko koee nam na de / Tu abhi tashna haqeeqat ko koee naam na de / Meri khamosh ibaadat ko koee nam na de / Yeh to bas ghunchae ehsaas ki khushboo hai haseen / Tujh se kuchh iske elawa bhi hai rishta mera .
......................... 
Koee jazbah jo kisi dil men kisi dard se hai / Koee nisbat jo tabassum ki dam e sard se hai / Wo hee rishta jo kisi qafile ka gard se hai / Wo taalluq bhi falak ka jo kisi fard se hai / Mera maqsood hai lekin abhi ai zuhra jabeen / Tujh se kuchh is ke elawa bhi hai rishta mera.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 506