donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Rasool Saqi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* masnavi.......SHAHKAAR........( qist aakhir ) *
masnavi.......SHAHKAAR........( qist aakhir )
.................by RASOOL SAQI

***************************************
Ai afsurdah ,hazeen , khalwatnasheen fankar ijazat hai
basad shoq aa tujhe qirtas aarayee ki daawat hai

sitamkhurdah dilon ki kash main ghamkhwar ho jaun
tere dast e mubarak se agar shahkaar ho jaun

musawwir na sajaya aks e batin range zahir se
utara us sarapa naaz ko dil mein manazir se

ubhare uske saare naqsh hairani ke aalam mein
bhare phir usmein saare rang wijdaani ke aalam mein

wo tasweer e junoon afza jo shahkaar e musawwir thi
fusoon saman uter aayee jo uske zere khatir thi

wo husne jawedan tasweer ke parde mein roshan tha
hijab e khuld tha uske jo pasmanzar mein gulshan tha

rukhe gul ka taqaddus khuftah qalib ko jagata tha
rawan chashma koee pursoz naghma ab bhi gata tha

mukammal jab huee tasweer to noor e shafaq phaila
hua phir aaftab afshan , zameen ne pairahan badla

saba ne apne haathon se gul e naw ke dehan khole
dar e zindaan e shab toota , parinde chahchaha utthe

magar khwabeedah aankhein so gayeen fankaar ki SAQI
mila usko sukoon aaghosh mein shahkar ki SAQI

MUSAWWIR KAR GAYATAKHLEEQ WO KIRDAAR DUNIYA MEIN
KE JIS NE HUSN KA QAYEM KIYA MAAYAR DUNIYA MEIN
*******
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 404