donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Rasool Saqi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* masnavi......SHAHKAAR......(qist panjum)) *
masnavi......SHAHKAAR......(qist panjum))
...................RASOOL SAQI

Sada aayee ke ai fankaar ye teri inayat hai
tera shahkaar gar mujh mein hai to ye meri qismat hai

ke tujhko malika e takhleeq e shahkaaran wadiyat hai
tera fan aaina hai aur tu akkas e fitrat hai

sadaqat ki zaya se surkhroo hai moo-qalam tera
ke tera canvas hai loh e yazdani ka razmeeyah

ke tera dil ghame jaanan gham e dauran ka maskan hai
ke teri rooh aazurdah dilon ka chaak e daman hai

teri takheel mein fankaar ki raff-at ka manzar hai
teri takhleeq mein footpath ki wus-at ka manzar hai

teri tahreer mein mashq e sitam galiyon ka maatam hai
teri tasweer mein ismat zadah kaliyon ka maatam hai

tere afkaar meindard e dil e muflis ka partaw hai
teri guftar mein karb e dil e mazdoor ki law hai

sati partha ki seene mein tere juwala dahekti hai
teri aaghosh mein aatish zadah dulhan sisakti hai

tere ashkon mein pinhaan hai tabahi laala zaron ki
teri aahon mein shamil hain nawayen sheer-khawaron ki

shikan teri jabeen ki daastan e qatl o gharat hai
tu khastah haal shahron ki shakista paa imarat hai

tera har paikar e tasweer faryadi ka aanchal hai
magar naqadri-ye aiyaam se dil tera bekal hai

ai afsurdah ,huzeen ,khalwat nasheen fankaar ijazat hai
basad shoq aa tujhe qirtas aarayee ki daawat hai

sitam khurdah dilon ki kaash main ghamkhwar ho jaaun
tere dast e mubarak se agar shahkaar ho jaaun
.................(continue....qist shashum )
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 367