donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Rauf Khair
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Pata bhee kuchh tum apne bachho’n ko apna dushman bana rahe ho *
Ghazal numa

Pata bhee kuchh tum apne bachho’n ko apna dushman bana rahe ho 
Jo apnee marzee chala rahe ho 
Hamee’n se hum ko larha rahe ho hamee’n se hum ko kata rahe ho 
Yeh kis pe A.K chala rahe ho 
Yeh hum se humdardee bazahir jata rahe ho ,dikha rahe ho 
Magar hamee’n ko utha rahe ho 
Yeh daa’nt bhi hai’n hamare apne yeh ho’nt bhi hai’n hamare apne 
Nishana hum ko bana rahe ho 
Jaha’n me’n aman–o-ama’n hai qayem kahi’n koi masala nahi hai 
Are kaha’n ki urha rahe ho 
Tumhari aik aa’nkh hai jabee’n par aur us se hat kar koi nahi’n hai 
Yeh kis se aa’nkhen larha rahe ho 
Tum ek wardi ho tum se tahzeeb ki tawaqqa fazool hogi 
Lahoo usi ka baha rahe ho 
Ghazal numa derh misro’n par hi mushtamil hai yeh baat tai hai 
Yeh “Khair” tum jo suna rahe ho 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 374