donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Rauf Khair
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Har ek moqam pe kuchh dal badal to hote hai'n *
Har ek moqam pe kuchh dal badal to hote hai'n
Badlne wale bhi aksar saphal to hote hai'n

Pata nahi'n unhie'n yeh bad gumania'n keyo'n hai'n
Ke rayefal se masayel bhi hal to hote hai'n

Khilane wale bahut dasht wa baraf zaar me'n gul
Na hote ho'nge magar aaj kal to hote hai'n

Yeh khado khal orooj wa zawal ke album
Kahaniyo'n pe kayee mushtamil to hote hai'n

Lahoo lahan sahi hausle parindo'n ke
Khayl-o- khawb ka nemulbadal to hote hai'n

RAOOF khair nahi'n marte aoliyae ghazal
Yeh aur baat hai nazre ajal to hote hai'n
9-10 202/19 golconda,
Risala bazaar, Hyderabad-500008 (A.P)
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 396