donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Raunaq Shahri
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Koii tahreer dil azar nahi'n dekhta mai'n *
Koii tahreer dil azar nahi'n dekhta mai'n
Aaj kal subah ka akhbar nahi'n dekhta mai'n

Ekhteyari kisi khawhish pe ramaq baqi ho
Us gharhi phir rukhe bazaar nahi'n dekhta mai'n

Zauq mar jaye to ghayal se kabootar ke liye
Shikwe karte huey meenar nahie'n dekhta mai'n

Mai'n ruke waqt ki tamseel kaha'n ban paya
Us ke lab par yahi asrar nahi'n dekhta mai'n

Tanz karte dar-o-deewar nigaho'n me'n hoo'n jab
Pichhe murhkar kabhi ghar bar nahi'n dekhta mai'n

Apni aa'nkho'n se mai'n kuchh door nikal jau'nga
Yahi khadsha yahi aasar nahi'n dekhta mai'n
					
			Gol Ghar, Jharia-828111 (Jharkhand)
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 368