* Muddaa e muddaaii matlab kii baat *
Ghazal
Muddaa e muddaaii matlab kii baat
Aap ne bhii khoob kii matlab kii baat
Be gharaz deewaangaan e shauq hain
Kab kahii kis ne sunii matlab kii baat
Hosh men aane nahin dete mujhe
Kah na duun main bhii koii matlab kii baat
Ho gayaa maayuus aakhir dil miraa
Haae tuune kyuun sunii matlab kii baat
Kahte kahte daastaan e dard e dil
Lab pe aakar ruk gaii matlab kii baat
Baat achhaaii kii bhii sunte nahin
Jin ko lagtii hai burii matlab kii baat
But khudaa ho jaaenge un se agar
Ae ‘Ravi’ kah den kabhii matlab kii baat
-0- |