donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Razi Akhtar Shauq
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ye kaun Duub gayaa aur ubhar gayaa mujh me.n *
Ye kaun Duub gayaa aur ubhar gayaa mujh me.n, 
ye kaun saaye kii suurat guzar gayaa mujh me.n,

ye kis ke soG me.n shoridaa-haal phirataa huu.N, 
vo kaun shaKhs thaa aisaa ki mar gayaa mujh me.n,

[soG=mourning; shoridaa-haal=wretched condition]

ajab havaa-e-bahaaraa.N ne chaaraasaazii kii, 
vo zaKhm jis ko na bharanaa thaa bhar gayaa mujh me.n,

[havaa-e-bahaaraa.N=winds of spring; chaaraasaazii=cure]

vo aadamii ki jo patthar thaa jii rahaa hai abhii, 
jo aa_iinaa thaa vo bikhar gayaa mujh me.n,

bisaal kyaa ki vo jab bhii qariib se guzaraa ,
vo yuu.N lagaa ki ko_ii raqs kar gayaa mujh me.n,

 saath thaa to ajab dhuup chaa.Nv rahatii thii, 
bas ab to ek hii mausam Thahar gayaa mujh me.n.

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 494