donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Rumman Faridi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ek aag lagi thi seene me *
 Ek aag lagi thi seene me
 ek shola sa dil me lapka tha
 Un  zindano  k   ienton   se
 ek khoon ka rang bhi guzra tha
 Us karbo bala k mausam me
 ek chikh faza me utthi thi
 Jisko na dabaya ja bhi saka
 jisko na bhulaya ja bhi saka
 Kuchh lab pe mohar thi dahshat ki
 Kuchh chup ki wajah thi khilat bhi
 jo darr na sake the dahshat se
 jo bik na sake the khilat se
 wo kat bhi gaye aur mar bhi gaye
 jaan apni enayat kar bhi gaye
 Tum unki neyabat mat karna
 jaan apni enayat mat karna
 Dastaro kulaah ki majlis me
 Apni hi hazimat mat karna.
*************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 408