donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Rumman Faridi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Aaj phir Eliphanta k sahilon se takrane wali lahren khamosh hain *
Aaj phir Eliphanta k sahilon se takrane wali lahren khamosh hain
Jahazon ko dhakelne wale engine me qabristan si khamoshi hai
Aaj phi Elephanta k bander kahin khamosh chupke pade hain
Aaj phir mahigiron se machhliyan rooth gayi hain/
Aaj phir kala ghoda apni raftar bhool chuka hai, flora fountane ki roshni phiki ho chali hai
Aaj phir faishon street ki galiyan tareek hain
Aaj phir marine drive aur band stand k goshe sargoshiyon k liye taras rahe hain
Aaj phir 1:40 ki last local multawi kar di gayi hai
Aaj phir planet M ka shor tham sa gaya hai
Aaj phir shaahrahe Haji Ali se takrane wali lehren dum tod chuki hain
Aaj phir Bala saheb k hifazati daste me afraad badh gaye hain
Partiksha, jalsa aur Mannat k aage lagne wala majma aaj nadarad hai
Aaj phir chaupati k pani puri me khataas badh gayi hai
Aaj phir Aksa,Gorai, Juhu aur charni k beach apni wiraani pe ro rahe hain
Aaj phir baade naseem baade qaza bun k aayi hai
Aaj phir zaveri bazar me sone ki chamak maand pad chuki hai
Aaj phir Dubba wala ghalat pate pe dubba de aaya hai
Aaj phir amire waqt k jumle rate ratayen hain
Aaj phir hizbe mokhalif me nayi taazgi bun aayi hai
Aaj phir Mumbai flash back me hai.
***************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 577