donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Rumman Faridi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* zyada himmat aur thode wasail k ekhtelaat se *
ye khwab hi to aise hain jo tehreek mujhko dete hain
k jisse mai ungadhe khwahishon k canvas pe
zyada himmat aur thode wasail k ekhtelaat se
ek rangeen thoda dhundla hi sahi khaka to keench pata hoon
ye khwab hi to hain jo har zulmo jabr se azaad hain
jahaan sirf meri hukmarani hai
jahaan wajahe talatum bhi mai hoon
jahaan baadbaan bhi mere hain
in khwab k sahare hi
Arab k rezgaaron se
joodi ke pahaaron tak
zaitoon k bagaano se
sindh k shiwalon tak
kitne rang bikhre hain
kai noqoosh ubhre hain
ye khwab mere apne hain in khwab ko to mat chhino
in khwab ki badaulat hi to mai khud ko jaan pata hoon
ye khwab mere khwahish ki gumnaam si amanat hain
ye khwab mere jazbon ki berabt si hararat hain
kashkol mera khali hai is khwab k siwa logo
is khwab ko to rehne do
ye khwab mera warsa hain
****************
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 337