hum jun chakor ghash hai.n aji ek yar par
bulbul ki tarah ji nahi.n dete hazar par
gar ji mei.n kuchh nahi.n hai to dekhe hai kyu.n mujhe
ungli ko pher pher ke teghe ki dhaar par
pa-bos-e-yar ki hamei.n hasrat hai ai nasim
aahista aaiyo tu hamare mazar par
ruKHsar par numud hua KHat KHabar bhi hai
yani kamar kasi hai KHiza.n ne bahaar par
'rangin' to le ke baiThe hai.n asbab-e-aish sab
aawe ba-shart-e-yar bhi apne qarar par
۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸