donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Saadullah Shah
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Jahaa.N phuulo.n ko khilnaa thaa vahii.n khilte to achchhaa thaa *

Jahaa.N phuulo.n ko khilnaa thaa vahii.n khilte to achchhaa thaa,
tumhii.n ko ham ne chaahaa thaa tumhii.n milte to achchhaa thaa,

ko_ii aakar hame.n puuchhe tumhe.n kaise bhulaayaa hai,
tumhaare Khat ko ashko.n se shab-e-Gham me.n jalaayaa hai,


hazaaro.n zaKhm aise hai.n agar silate to achchhaa thaa,
tumhe.n jitanaa bhulaayaa hai tumharii yaad aa_ii hai,


bahaar-e-nau jo aa_ii hai vo hii Khushbuu laa_ii hai,
tumhare lab merii Khaatir agar hilate to achchhaa thaa,

milaa hai lutf bhii ham ko hasii.n yaado.n kii jhil-mil me.n,
kaTatii hai zindagii tum bin magar itanii sii hai dil me.n,


agar tum aate to achchhaa thaa agar milate to achchhaa thaa.

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 376