donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Saalim Shuja Ansari
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Yeh bhi ehsaaN utaar lete kaash. *
Yeh bhi ehsaaN utaar lete kaash.
HaNste haNste guzaar lete kaash..

DostoN ke jo darmayaaN guzri.
DushmanoN men guzaar lete kaash..

Ho gayeeN theeN lahoo lahoo aankheN.
Kwahish e dil ko maar lete kaash..

Ye suna hai duaayeN hoNgi qubool.
Hath ham bhi pasaar lete kaash..

Meri aankhoN men jhaNkne wale.
Mere gham bhi shumaar lete kaash..

Ho na paayee khusoosiyat paida.
KhamiyaN hi sudhaar lete kaash..

Bhool jate sulook duniya ke.
Rab se yeh ikhtiyaar lete kaash..

Zindagi ko saNwarne wale.
Zindagi ko saNwaar lete kaash..

Raat bekhwabiyoN meN beet gai.
Gaisoo e shab saNwaar lete kaash..

Woh tasawwur jo zehn meN ubhra.
KaghazoN par utaar lete kaash..

Sirf khushiyoN se roshnaas hue.
Lazzat e gham bhi yaar lete kaash..

Maut ka khauf tha abas dil ko.
Zindagi ka khumaar lete kaash..

Jism to khaak kar diya mera.
Jaan bhi must_aar lete kaash..

Aayena dekhne ki zid thi agar.
Yeh mukhota utaar lete kaash..

Dil rubaayee meN dil kharaashi thi.
Yeh sabaq dil figaar lete kaash..

Gar rasaai na thi sitaroN tak.
Ik diya or ubhaar lete kaash..

Lehn e 'daood' meN ghazal padh kar.
RehmeteN beshumaar lete kaash..

Naakhudai ka za_am reh jata.
KashtiyaaN hi ubaar lete kaash..

DhadkanoN meN kahan tasalsul he.
SaaNs bhi qistwaar lete kaash..

AasmaaN tujh ko ek din ke liye.
"Is zameeN par utaar lete kaash.."

Us ne "saalim" palat ke dekha tha.
ham bhi usko pukaar lete kaash..
_____________________________
saalim shuja ansari
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 563