donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Saami Aejaz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Reza,reza hui tamanna,aur ab dil bhi toot raha hai, *
Reza,reza hui tamanna,aur ab dil bhi toot raha hai,
Rafta, rafta sabr ka daaman haath se mere choot raha hai,

Roz hii kahne aa jata hai,mujhe to tum se nafrat hai,
Meri ana ko torhne wala,abs hayed khud TooT raha hai,

Ishq se barh kar rog nahi kuch,duniya bhar ka jog nahii kuch,
Mera QaTil,mere gawahii dene par hii choot raha hai,

Khud ko banT ta phirta hai,mujh se kahta hai meri hi raho,
Sachchayee ka who hai taalib,man mei'n uske jhoot raha hai,

Mere masiiha ne aane mei'n der hii nahi,andher bhii kii hai,
Zahar ka payala pee bhi chuki mai'n,ab to aakhri gho'nt raha hai.

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 398