donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Sabeeha Saba
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Agar wo phir dil k saaz par gungunaayaiN, gaayaiN, to kya kareiN ham *
Agar wo phir dil k saaz par gungunaayaiN, gaayaiN, to kya kareiN ham
Aur aisey komal madhur suroN meiN na Doob jaayaiN to kya kareiN ham

Hazaar minnat se dil ko tark-e-wafa pe tayyaar kar chukay thay
Magar wo peechhay se aa k aaNkhoN pe haath rakh daiN to kya kareiN ham

KahaaN tera aas paas rehna, wagarna pehroN udaas rehna
KahaaN ye Ghaflat, k aisi Ghaflat pe mar na jaayaiN to kya kareiN ham

Kabhi koi waaqeya sumaayaiN, kabhi koi shair gungunaayaiN
In isteyaaroN pe bhi agar wo samajh na paayaiN to kya kareiN ham

Har ek dil-e-dard mand ham se hamaarey ashkoN ka raaz poochhay
Magar kisi ko bhi naam un ka bata na paayaiN to kya kareiN ham

KahiN hamaarey wo shair sun kar na dard-e-dil ka suraaGh paa leiN
Bas aisi uljhan meiN is ghuTan meiN jo kah na paayaiN to kya kareiN ham

Suna hai phir apney dais meiN loag Khoob saawan mana rahey haiN
Aur apnay bhooley hu'oN ko phir bhi na yaad aayaiN to kya kareiN ham

Ba.Di umeedoN se aaj ham un ki anjuman meiN 'Saba' chaley haiN
Magar wo pehchaan kar bhi ham se nazar churaayaiN to kya kareiN ham
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 346