* main uske pas baith gaya mere pas woh *
lagta tha apni shakl se mardum shanas woh
main uske pas baith gaya mere pas woh
muddat huee kisi kw no aaya kahin nazar
sunte hain kar chuka kahin agyat was woh
jab se suna hai deota aaenge mere ghar
mandla raha hai tab se yahin aspas woh
bital ke swal ka de ga agar jawab
kar de ga phir se kata huaa phir kapas woh
kiya apna koee dard ause yad aagya
afsana sun ke mera huaa kenyon udas woh
|