donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Saghar Nizami
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Kaafir gesu walo'n ki raat basar yu'n hoti hai, *
Kaafir gesu walo'n ki raat basar yu'n hoti hai,
Husn hifazat karta hai aur jawani soti hai,
Mujh may tujh may farq nahi mujh may farq hai ye,
Tu duniya par hansta hai duniya mujh par hansti hai,
Sabr o suku'n do dariya hai'n bharte bharte bharte hai'n,
Taskin dil ki barish hai hote hote hoti hai,
Jine may kya rahat thi marne may taklif hai kya,
Tab duniya kyo'n hansti thi ab duniya kyo'n roti hai,
Dil ko to tashkhish hui charagaro'n se puchunga,
Dil jab dhak dhak karta hai wo halat kya hoti hai,
Raat ke ansu ai `Saghar` phulo'n se bhar jate hai'n,
Subah e chaman is pani se kaliyo'n ka munh dhoti hai. 
 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 451