* Khuda ke waste ab berukhi se kam na le *
Khuda ke waste ab berukhi se kam na le
tarap ke phir koi daman ko tere tham na le
Bas ek sajda e shukrana pa e nazuk par
ye maikada hai yahan par khuda ka nam na le
Zamane bhar may hain charche meri tabahi ke
main dar raha hun kahin koi tera nam na le
Mita do shauq se mujhako magar kahin tumase
zamana meri tabahi ka intaqam na le
Jise tu dekh le ik bar mast nazaron se
wo umr bhar kabhi hathon may apane jam na le
Rakhun ummid e karam usase ab main kya "sahir"
ki jab nazar se bhi zalim mera salam na le |