|
* Qariib maut khari hai zaraa Thahar jaao *
Qariib maut khari hai zaraa Thahar jaao,
qazaa se aa.Nkh larii hai zaraa Thahar jaao ,
thakii thakii sii fazaayein bujhe bujhe taare,
barii udaas gharii hai zaraa Thahar jaao ,
nahin umeed k ham aaj kii sahar dekhein,
ye raat ham pe karii hai zaraa Thahar jaao ,
abhii na jaao ki taaron kaa dil dharakta hai,
tamaam raat parii hai zaraa Thahar jaao,
phir is ke baad kabhii ham na tum ko rokein gay,
labo.n pe saans arii hai zaraa Thahar jaao,
dam-e-firaaq mein jii bhar ke tum ko dekh to luun ,
ye faisale kii gharii hai zaraa Thahar jaao .
|
|