donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Salim Shuja Ansari
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Jaga tamam raat gunahgaar ki tarah *
Jaga tamam raat gunahgaar ki tarah
aankhoN meN khwab chubhta raha khaar ki tarah

shab hay zindgi meN aNdheroN ke bawajood
roshan he teri yaad madadgaar ki tarah

muddat se ris raha he gham e zindgi ke sath
ik zakhm dil ka deeda e khooNbaar ki tarah

ruswaiyoN ke khauf se zinda haqeeqateN
seene meN dafn ho gaieN izhaar ki tarah

badhta hi jaa raha he mira mujh se fasila
pesh aa raha hooN khud se bhi aghyaar ki tarah

mehdood reh na payeN mire dil ki wusateN
dil he makan e be dar o deewaar ki tarah

kaaNdhey jhuke hue heN zaroorat ke bojh se
har ik nafas he dil pe giraaNbaar ki tarah

"saalim" jakar liya mire halaat ne mujhe
lipte hua he gham tira zunnaar ki tarah
....................saalim shuja ansari
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 367