donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Sardar Panchhi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* dua kije wo bargad aur bhi phule-phale barso.n *

dua kije wo bargad aur bhi phule-phale barso.n

ki jis ki chhanw mei.n hum aap se milte rahe barso.n

koi jugnu bhaTakta aa gaya to aa gaya warna

charagh-e-qabr ban kar hum akele hi jale barso.n

ye sang-e-mil bhi pahle koi bhaTka musafir tha

jise apni hi manzil DhunDne mein lag gae barso.n

ye sar jo kaT kar Tange gae hai.n in fasilo.n par

isi aatish-bayani se rahenge bolte barso.n

ajab si mausami fitrat hai apne dewtao.n ki

nahi.n pahchante wo hum jinhe.n puja kiye barso.n

na tum hoge na hum honge na apni mahfile.n 'panchhi'

khala mei.n gunjte rah jaenge ye qahqahe barso.n

*******************

 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 177