donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Sarfaraz Ahmad Ejazi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ye bhi hota, wo bhi hota, wo bhi ho jata to acha *

Inqalab-e-tahzeeb nauw se dil hamare machal rahe hain
Sar se aanchal sarak rahe hain,haya ke putle pighal rahe hain

Ye bhi hota, wo bhi hota, wo bhi ho jata to acha
Hazaar armaan chhupe hain dil mein, khwabe farda bahal rahe hain

Nahi burayi hai thokron me, agar ho uthne ka hausla to
Ke gir ke uthte hain uthne wale, girte girte sambhal rahe hain

Jinhe sikhaya shaoor humne, tareekyon me kiran thi bakshi
Wahi andhere hain hum pe hawi, hamari law ko nigal rahe hain

Humne mana ke sab hain bhai, hindu muslim sikh isaai
Magar hamare dil me kaante nafrton ke bhi pal rahe hain

Har ek diye me hausla hai ab bhi aandhi ko modne ka
Garche mil kar sath ho lein, tanha tanha jo jal rahe hain

Kitabe yazdan ulat ke dekho ke humne ilmo hunar diya tha
Jinhe talasho justaju hai wo chand taron pe chl rahe hain

Sharke tahzeed kya chuti, khud ko ejazi bhula hi baithe
Tarke hukme khuda kiya ab ghair ke sanchon me jal rahe hain


**************************

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 777