donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Sarwar Alam Raz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* nay naamah-o-paiGhaam, nay koyee Khabar aawe *
nay naamah-o-paiGhaam, nay koyee Khabar aawe
"is zindagee karne ko kahaaN se jigar aawe"

yooN yaad tiree chhup ke mire dil meN dar aawe
jooN SubH kaa bhoolaa huwaa shaam apne ghar aawe!

yeh moR hai, woh pech hai, yeh ooNch hai, woh neech
ik khaTkaa nayaa roz sar-e-rehguzar aawe!

din saaz se meHroom hai,shab soz se Khaalee
aahoN meN bhalaa aawe to kaise acar aawe?

is t^araH rah-o-rasm rahee zeest se apnee
jooN saath musaafir ke Ghubaar-e-safar aawe!

Allah re yeh Khastah-mizaajee, yeh t^abee,a't!
yaaro! hameN ab apne hee saayeh se Dar aawe!

ik u'mr huyee jeene kaa par DhaNg nah aayaa
be-maut hee mar jaane kaa yaa Rab! hunar aawe!

minnat-kash-e-arbaab-e-karam maiN rahooN kab tak?
ilzaam-e-muHabbat hee sahee, kuchh to sar aawe! 

"Sarwar"! huwe yooN Khwaab muHabbat ke fasaane
mushkil hee se deewaanah tujh aisaa naz^ar aawe!
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 356