donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Sarwar Alam Raz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* manzil-e-dard se guZar aaYe *
manzil-e-dard se guZar aaYe
aaj apne kiYe ko bhar aaYe!

thaa qiyaamat nigaah kaa milnaa
aaNkh se dil meN woh utar aaYe!

aaj yaad aayee us kee yooN jaise
SubH kaa bhoolaa shaam ghar aaYe!

naa-tawaanee see naa-tawaanee hai
Gham uThaate huwe bhee Dar aaYe!

ham agar kaam se gaYe to kyaa?
aap to apnaa kaam kar aaYe!

kaise dunyaa se Gham chhupaaYeN jab
dil umaND aaYe, aaNkh bhar aaYe!

ham ne maanaa keh kuchh naheeN HaaSil
kyaa kareN koyee yaad agar aaYe?

aarzoo hai keh aarzoo nah rahe
chaahe phir aur kuchh nah bar aaYe!

pehle jis aarzoo meN jeete the
aaj usee aarzoo meN mar aaYe!

ashk-e-Gham pee to looN magar hamdam
chain hee is t^araH agar aaYe?

dil dukhe aur aaNkh Khushk rahe
aaYe to kaise yeh hunar aaYe?

mere aaNsoo, Ghareeb ke aaNsoo
in meN phir kis t^araH acar aaYe?

baaz aa ab bhee i'shq se :Sarwar:
kitne ilzaam tere sar aaYe!
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 368