donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Sarwar Alam Raz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* baat aisee huyee hai kyaa SaaHeb? *
baat aisee huyee hai kyaa SaaHeb?
ho gaYe aap kyoN Khafaa SaaHeb?

kuchh to kahiYe kahaaN kee yeh aaKhir
lag gayee aap ko hawaa SaaHeb?

khaamashee aur aisee Khaamoshee!
kab muHabbat meN hai rawaa SaaHeb?

haaYe yeh kaisee be-niyaazee hai
raNg-e-hastee bikhar gayaa SaaHeb!

kyaa koyee mujh se bad-gumaanee hai?
taubah, taubah, Khudaa, Khudaa! SaaHeb!

yaad hai aap ko keh maiN hooN kaun?
aashnaa aur baa-wafaa! SaaHeb!

mujh se koyee agar shikaayat hai
keejiYe aap barmalaa SaaHeb!

chhoRiYe, ab mu,a'af kar deejiYe
kuchh agar ho kahaa sunaa SaaHeb!

dostee aur aashtee ke siwaa
is jahaaN meN rakhaa hai kyaa SaaHeb?

aap dil meN haiN, aap aaNkhoN meN
meree Soorat hai aa,eenaa SaaHeb!

reh-rav-e-raah-e-aashnaayee hooN
gar cheh hooN maiN shikastah-paa SaaHeb!

dardmandee ke aur muHabbat ke
wa'de sab keejiYe wafaa SaaHeb!

maiN bhee ho jaa,ooN aap hee jaisaa
mere Haq meN kareN du,a'a SaaHeb!

behr-e-tajdeed-e-shauq :Sarwar: ko
yaad karnaa hai kyaa buraa SaaHeb?

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 367