donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shabnam Manarvi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Phir se dil-o-dimagh se risne laga hai khoo'n *
Phir se dil-o-dimagh se risne laga hai khoo'n
Ji chahta hai aaj phir taza ghazal kahoo'n

Yeh kaun uth gaya hai jaha'n ki basat se
Sab log hai'n udaas, alam saare sar nagoo'n

Bedard log bhi karei'n jazbo'n ka ehtaram
Lafzo'n ke haath mei'n agar yaado'n ko so'np doo'n

Nafrat se dekhte hai'n jo har cheez ko mudaam
Un dosto'n ke peyaar ka zaamin na ban sakoo'n

"Shabnam" tere wojood ko tashbih kis se doo'n
Suraj ki kis kiran se teri dastaa'n sunoo'n

			P.O. Box No. 317, Riyadh-11352 (K.S.A)
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 337