donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shabnam Rehman
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* sakoot e shab hai tanhai hai *
TANHAI


sakoot e shab hai
tanhai hai 
lekin aisi tanhai 
ke jis me goonjti rahti hain saari ankahi baaten
jo dil me shor to karti hain lekin
kah nahi paatay

kisi ke door jaatay paaon ki halki si woh aahat
kabhi patton ki khad khad mein 
kisi ke lautnay ka shaq
kabhi beetay palon ki goonj 
kabhi madham si sargoshi 
kabhi apnay hi andar chal rahi aandhi ki aawaazain

sakoot e shab hai
tanhai hai
lekin aisi tanhai
ke jaisay door tak phaila ho 
aawaazon ka ik jangal
*******
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 303