* Puranay Khwaab Ka Taawaan mere charon taraf kitna *
Puranay Khwaab Ka Taawaan
mere charon taraf kitna
haseen khwaabon sa manzar hai
magar ye khushnuma mazar
meri aankon ko ranayi nahin
takleef deta hai
koi khushboo bhara jhonka
mujhay choona agar chahay
meray zindan ki nadeedah deewarain
rok deti hain
hamari rooh kay jaltay hue sehra pe
koi meharbaan baadal
agar bhoolay se aa jaye
main aankhain meech leti hon
na janay kab talak mujh ko
puranay khwaab ka taawaan bharna hai
****** |