donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shabnam Rehman
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Basti basti parbat parbat saanjh jab gahra jaaye hai *
Basti basti parbat parbat saanjh jab gahra jaaye hai
Nain jharokay dheeray dheeray deep koi jal jaye hai

Mere ghar ke aangan phir phool khilay honge shayad 
Ghar se door bideson mein bhi khushboo mujh ko aaye hai

Shaam hui aur saaray punchi ghar ko apnay laut gaye
Dekho man ka paagal punchi laut ke ghar kab aaye hai

Jis mausam mein daali daali phool khilay armano ke
Jaanay ab woh mausam phir se aaye ya na aaye hai

Bholi bisri yaadain aanso tukray tootay sapno ke
Shaam dhalay kyun raat ki dulhan aanchal mein bhar laaye hai
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 291