* Dard Ka Aatishfishan *
Dard Ka Aatishfishan
achanak dard ka aatishfishan
phir phat para hai
har taraf ab dil k zindan mein
barasti aag hai
aur zabt ka aahan pighalta hai
woh saari khwaahishain main ne jinhain
mushkil se zanjeeron mein jakra tha
huin aazad tou
har simt ik mahshar bapa hai
bilakhti cheekhti aur bain karti khwaahishain
jitna bhi chahin shor kar len
in deewaron mein
koi dar koi rozan nahin hai
****** |