donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shad Azeemabadi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Dhuu.NDhoge agar mulko.n mulko.n milane ke nahii.n naayaab hai.n ham , *

Dhuu.NDhoge agar mulko.n mulko.n milane ke nahii.n naayaab hai.n ham ,

taabiir hai jis kii hasarat-o-Gham ai ham-nafaso vo Khvaab hai.n ham,

[naayaab=rare/difficult to find; taabiir=interpretation of dream]

mai.n hairat-o-hasarat kaa maaraa Khaamosh Kha.Daa huu.N saahil pe ,

dariyaa-e-mohabbat kahataa hai aa kuchh bhii nahii.n paayaab hai.n ham,

[paayaab=shallow]

ai dard-e-mohabbat kuchh tuu hii bataa ab tak ye muammaa hal na huaa ,

ham me.n hai.n dil-e-betaab nihaa.N yaa aap dil-e-betaab hai.n ham,

laakho.n hii musaafir chalate hai.n ma.nzil pe pahu.Nchate hai.n do ek ,

ai ahal-e-zamaanaa qadar karo naayaab na ho.n kaamayaab hai.n ham,

[kaamayaab=successful]

murGhaan-e-qafas ko phuulo.n ne ai "Shaad" ye kyaa kahalaa bhejaa hai ,

aa jaao jo tum ko aanaa ho aise me.n abhii shaadaab hai.n ham.

[murGhaan=birds; qafas=cage; shaadaab=fresh]

***********************




 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 374