donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shad Azeemabadi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Dhuundhoge agar mulkoN mulkoN milne ke nahiiN, naayaab haiN ham *

Dhuundhoge agar mulkoN mulkoN milne ke nahiiN, naayaab haiN ham
taabiir hai jiskii hasrat-o-gam, aye ham nafsoN voh Khwaab haiN ham


aye dard pataa kuchh tuu hii bataa ab tak ye moamma hal na huaa
ham meN hai dil-e-betaab nihaaN yaa aap dil-e-betaab haiN ham

maiN hairat-o-hasrat ka maaraa khamosh khaDaa huuN saahil par
daryaa-e-mohabbat kahtaa hai aa kuchh bhii nahiiN paayaab haiN ham

laakhoN hii musaafir chalte haiN manzil pe pohaNchte haiN do ek
aye ahl-e-zamaana qadr karo naayaab na hoN kamyaab haiN ham

murgaan-e-qafas ko phuuloN ne aye Shaad ye kahlaa bhejaa hai
aa jaao jo tumko aanaa hai aise meN bhii shaadaab haiN ham


Shad Azeemabadi

 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 510