donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shafaq Sopuri
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Khaso khaashaak badan shame qaza se raushan *

Khaso khaashaak badan shame qaza se raushan 
Shame anfaas ho kyo'n mauje hawa se raushan 

Dasht me,n door kahi'n door siyah tilo'n par 
Hai'n mere khab kisi ke kafe paa se raushan 

Warna kis tarah mere raakh monuwwar hoti 
Koee chingari to hai us me'n hawa se raushan
 
Kis tarah khud se jal utthe hain ye lafzo'n ke cheraagh 
Safhae nutq huaa kis ke nawa se raushan 


Shafaq Sopuri 
Sr.Lecturer, Deptt.of urdu
Amar Singh College , 
Sirinagar -190001(Kashmir)

Jaan usko bhi ghanimat ke buzrugo'n ke tufail 
Raaste shahar ke hai'n ab bhi zara se raushan
 
Meri raato'n me'n jala shamma manajato'n ki 
Meri subho'n ko bana harfe duaa se raushan 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 303