donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shagufta Basit
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* tumhain miley tu usey ye kehna *
tumhain miley tu usey ye kehna
k teri yaadoo.n ki lo chali hay
k jism o jaa.n tak jhulas gai hain
tumhain miley tu usey ye kehna
k hathoo.n main jo merey tha gajra
ab us ka chehra utar gaya
wo merey jorey ka har aik phool
najane kiyu kar bikhar gaya hay
tumhain miley tu usey ye kehna
wo merey paoo.n ki shokh payal
tarang apni ganwa chuki hay
wo mera aanchal jo sar dhanke tha
dhalak k qadoo.n main aa gira hay
tumhain miley tu usey ye kehna
k barishain ab agar hain aateee.n
tu mujh ko kuch bhi nahi hay hota
na zindagi ki taranag koi hay
na dill main koi umanag hay baaqi
tumhain miley tu usey ye kehna
k aik us k dill badalne sey
saarey rishtey badal gai hain
wo saarey lehjey jo mohabbatoo.n ki
halawatoo.n sey they muzayyan
haqaratoo.n main badal gai hain
tumhain miley tu usey ye kehna
jahan rahey wo sukhi rahey wo
humara kiya hay k hum tu 
khud ko bhula chukey hain
aas ka akhiri parinda
hawa main kab ka ura chukey hain
tumhain miley tu usey ye kehna
*******
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 326