|
* Kyon ke hum student, sabhi campus humara *
Kyon ke hum student, sabhi campus humara
lobby ya cafe hi main bas dill lagey humara
yoon hi be-tuki baatoo.n pe hota hay sar phutav'val
dhanga, fasaad, jhagra, darsi nishaa.n humara
Jamaati ye keh rahey they kal madar_e ilmi main
Muslim hain hum a keley, ye madrasa humara
raingers k saay main hum parh kar howe nikammey
chaapa, boti, pharra, ilmi nishaa.n humara
keye baghair mehnat wo ley ga pehla darja
mohtarma chairperson wo bhanja tumhara
yahan das(10) larkiyoo.n main betha hain aik larka
dekho shakal hi sey wo lagta hay kuch be-chara
hum nay kaha jab un sey chorain larkiyoo.n k chakkar
tinak k wo ye boley..."bill ata hay tumhara?"
|
|