donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shagufta Basit
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Chalo phir khwaab buntey hain *
Chalo phir khwaab buntey hain 
Nai ik tarz key hum phir 
Mohabbat key taranoo.n key 
Judaai key zamanoo.n key 
Chalo phir khwaab buntey hain 
Kiye wadey nibhaney key 
Wo wadey jo humarey khud sey thay 
Eh'had-e guzishta main 
Chalo phir khwaab buntey hain 
Hum is ghar ko sajaney key 
Bari mud'dat sey ye ghar tu 
Bohat weeraan tha goya 
Na basney ka humain is kay 
Koi imkaan tha goya 
Chalo phir khwaan buntey hain 
Tumhain apna bananey ka 
Tumharey saath rehney ka 
Tumhain tum sey churaney ka 
Chalo phir khwaab buntey hain 
Ye mana hum nay key 
khwaboo.n ko tu hay toot hi jana 
Bara mushkil hay par aab 
Iss dill-e wehshi ko samjhana 
Chalo phir khwaab buntey hain 

HUM APNEY TOOT JANEY KEY
&&&&&&&&
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 362