donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shagufta Basit
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Haan yaad abhi tak hay mujh ko *
Haan yaad abhi tak hay mujh ko
Jo tum mujhe aksar kahtey thay
Haan garam dopehroo.n ko jab bhi
Hum chutt pe khaila kartey thay
Aur khail khail main jab aksar
Main tum sey rotha karti thi
Aur apney nain katoroo.n ko
Ashkoo.n sey bhigoya karti thi
Tum paas merey khud aatey thay
Aur ghantoo.n mujhe manatey thay
Phir kaan pakar kar tum merey
Ye hi baat hamesha kahtey thay
Ye rona wona chor bhi do
Yoon mujh ko satana chor bhi do
Ik baar tu aab tum hans do na
"Tum hansti aachi lagti ho"

Haan aaj bhi barsoo.n baad kabhi
Jab hum tum mil k bethtey hain
Kabhi mousam par, kabhi logoo.n per
Hum ghantoo.n baatain kartey hain
Yoon hi baatoo.n baatoo.n main aksar
Hum phir sey larne lagtey hain
Aur lartey lartey aab bhi jab
Meri aankh main aansoo bhartey hain
Tum paas merey khud aatey ho
Phir ghantoo.n mujhe manatey ho
Phir kaan pakar k tum merey
Ye hi baat hamesha kahtey ho
Ye rona dhona chor bhi do
Yoon mujh ko satana chor bhi do
Ik baar tu aab tum hans do na
Tum hansti aachi lagti ho
pachees(25) baras ki ho k bhi
Tum bilkul bachchi lagti ho

IK BAAR TU AAB TUM HANS DO NA!
*******
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 405