donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shagufta Basit
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Piyaar main us ko paa leney ki koshish tum bekaar na karna *
Piyaar main us ko paa leney ki koshish tum bekaar na karna 
Piyaar tu hay aafaki jazba, piyaar ko tum beopaar na karna 

Meri ankhoo.n key darya key pechey gehra ik sehra hay 
Gar tum chaho dill sey bhi tu, bhool k is ko paar na karna 

Uss ki ankhoon main sho'ley hain, tum ko maar jalain gay 
Gar chahtey ho zinda rehna uss sey ankhain chaar na karna 

Umer ki shaam k dhalne ko hay, dill bhi gehri neend hay soya 
Apney jazboo.n ki garmi sey iss ko tum baidaar na karna 

Merey nain dareechoo.n sey gar jhaank sako tu jhaank lo under 
Mun bagiya ki sair karaoo.n, mujh sey ye israar na karna 

Meri Aas pe oss pari hay, dill pe gehri barf jami hay 
Meri roh mehkaney ki koshish tum sarkaar na karna 

Ik mud'dat sey jo tha mera, ik pal main bas uska howa 
Dill bhi goya mard ki surat, iska phir aitabaar na karna 

Uss ki aadat hi hay Shagufta, sab pe huq jatlaney ki 
Uss ki chahat tu hay dhoka, uss sey qoul-o karar na karna
*******
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 413