|
* Ab tum ko bataoo.n kya merey liye tum kya ho *
Ab tum ko bataoo.n kya merey liye tum kya ho
Ankhoo.n ki zaya tum ho, Aanchal ki haya tum ho
Ankhoo.n key jharokoo.n sey aa jaoo kabhi dill main
Sapnoo.n ki sada tum ho, jeney ki ada tum ho
Jewan key bayabaa.n main aa kar kabhi barso tu
Tapti hoi mitti hoon, ghanghor ghata tum ho
Sajda tumhain karne ko tarapti hay jabee.n meri
Main banda-e aajiz hoon, mohabbat k Khuda tum ho
Jo hay tum sey mujhe nisbat wo kaise bayaa.n kar doon
Haan meri nawa tum ho, haan meri wafa tum ho
Ik shaam Shagufta sey bola tha kabhi tum nay
Haa.n barg-e khizaa.n hoo.n main, haan baad-e saba tum ho
&&&&&&&& |
|