donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shagufta Basit
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Mohabbat tu nahi tum ko *
Mohabbat tu nahi tum ko
ye hi tum nay kaha tha na!
Mohabbat tu nahi mujh ko
ye hi tum nay suna tha na!
magar ye ab kiya howa mujh ko
Tumhaari yaad main 
Raatai.n ye kiyu 
Aankhoo.n main kat'ti hain
Magar ye kiya howa mujh ko
teri baatoo.n ko kar kar yaad
main kyu muskuraati hoon
Magar ye kiya howa mujh ko
ye sapnoo.n ki hasee.n pariyaa.n
kiyu palkoo.n per meri har pal
yoon meh_ve raqs rehti hain
Magar ye kiya howa mujh ko
wo sarey rang jo mujh ko
kabhii be-rang sey lagtey they
barey sunder sey lagtey hain
Magar ye kiya howa mujh ko
meri chori mera kangna
mera kajra mera gajra
tumhara naam letey hain
kabhi jo aaina dekhoo.n
nazar aankhoo.n pe parti hayo
tumhara aks dikhta hay
Magar ye kiya howa mujh ko
bari uljhan main rehti hoon
khabhi khud seyi jhagarti hoon
kabhi sochoo.n sey larti hoon
Kaho ! Tum hi kaho na kuch
Mohabbat Ho Gaii Hay Kiya!!!!
*******
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 395