donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shagufta Basit
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Jab bhi dekhoo.n Aaina mera aks ye mujh sey kehta hay *
Jab bhi dekhoo.n Aaina mera aks ye mujh sey kehta hay
kaisa pagal shakhs hay tu to kaanch k ghar main rehta hay

jaaney kal kiya ajab howa, kuch toot gaya channakey sey
tab sey meri aankhoo.n sey aashaaoo.n ka paani behta hay

signal pe chup chaap khara hay, akhbaroo.n ka dhahir uthaay
wo jo do  rotii key badley sab kii jhirkii sehta hay

jab bhi sans main leti hon ik siski kaan main parti hay
merey seeney k under na-janey koun ye rota hay

khush-fehmi ki dhoop dhaley tu a isa bhi kuch hota hay
jaise zor ki barish main koi kacha gharonda dhehta hay
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 360