donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shagufta Basit
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Waqt ki abb takhsees kahan hay, din ujla ya kaali raat *
Waqt ki abb takhsees kahan hay, din ujla ya kaali raat
tanhaai ka alam hay aur aankh sey barse hay barsaat

tum ko apna dost kahian ya dushman janain tum hi kaho
jab dekha mushkil main hum ko, chor diya yoon jhat sey haath

us chaand ko paane ki khwahish is dill main hi dam tor gai
us chand ko pana kab tha bas main, itni kahan apni oqaat

jeet ki sar-shaari ka alam tum sey kahian tu kaise kahain
apni qismat main likhi hay Rub nay shayad maaat hi maat

main hi khabti, main hi khud-sar, main hi tu dewaani hon
jo bhi kaha hay sach hi kaha hay, aap nay hazrat taslimaat

beech bhanwar main hum ko dobo k khud sahil pe sote hain
aap ki ulfat k kya kahne, aap ki tu hay kya hi baat

apni khud-ilmi ka Shagufta aik ajab hi alam hay
meri nazroo.n main khathki hay aksar khud apni hi zaat
*******
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 347